Our Feeds

Monday, 6 March 2017

Anonymous

Hussan-e-Rasool (S.A.W)

 


 Maroof mazhabi scholar molana Tariq Jameel ne apne aik khususi bayan mein kaha hai ke Hazrat Aisha (R.A) ne farmaya hai ke Aap (S.A.W) itnay Haseen thay ke Hazrat Yousuf (A.S) ko dekh kar to aurton ne haath kaat liye thay. Agar woh aap ko dekh litin to apne seenay cheer litin. 

Molana tariq Jameel ne kaha ke aik budu aurat ne aap ka huliya bayan kya tha ke "mein ne aik jawan dekha, yun laga ke jaisay chaand zameen par utar aaya ho, na hi pait agay nikla howa. Haseen o Jameel , jitna daikhon, itna dekhnay ka shoq barhta jaye, bolay too noor chhaa jaye, chup hoon to Waqar chhaa jaye, lambi siyah ghani zulfein, palken daraaz, aankhon mein kashish, aawaz mein jadu, garden suraahi daar, daarhi barri khobsorat, hont jaisay ghulaab ki pankhari, daant aisay ke noor nikalta dikhayi deta tha, kushadah peshani, bhanwain gole, naak khari hui".
Urdu Post Pk

Anokhi maut



Shabina ka taluq bht gareeb gharian sy tha.woh 2 behnein  thi.badi behan ki shadi hn chuki thi.baap ka intekal (death) hon chukka tha.maa salai or dosry gharelu kam kar k or dastkari kar k jaisy tesian ghr chala rhi thi.behan bechari ki khud ki shadi safed posh ghr main hui thi.phr  bhi jtna hn sakti woh apni choti behan ka khail rakhny ki koshish krti.kuch rishty daar bhi in ki madad kr dety thy.shabina gaon k primary school main 5 pass krny k baad ghr ka kam krti or apni maa k kaam main bhi in ki madad karti.Maa ko rozi roti k ilwa us ki shadi k ly bhi fikar mand thi.kyon us ghr baithy bht saal hn chuke thy.gareeb hony ki wajha sy koi rishta nhi krta agr hony lgta tu ghareeb hony ki wajha sy rah jata tha,bs is trah us k halat guzar rhien thy.phr achanak hi shabina ki tybait kharab rahny lag gai.doctor hn yah hakeem kisi ko bhi is k bimaar rhny ki wajha samjh nhi aa rhai thi.kisi  dawa (medicine) ka asar bhi nhi hn rha tha .din ba din us ki tybait zaida kharab rhny lgi or who bistar sy hi lagi rah gai. Kisi mali hazarat k tawan sy shehar k hospital main main alaj k ly bandobast kiya gaya .agr test wagira karny k baad pta chal k shabina ko cancer ki akhri stage chal rhai hai. Or ab is bimari ka koi alaj nhi hai .doctors ny reports daikh k is k zindagi k sirf 3 month batien.or doctor na yah bhi kaha k bachi ko ab ghr rakh kr hi dawa (med) or dua di jaye. Phr yah hal hua k shabina ko bed sores ho gaye .jagha jagha sy jism obalien(boil) aloo ki tarah hogya k hath lagany sy hi piss jata or koon (blood) shuru hn jata.bechari ka yah hal daikny pura ghaon isy daikhny atien or afsos  zahir karty shabina ki halat par.aik roz shabina ny subha uth kr maa ko bataya.raat ko kisi ahat sy achanak sy meri ankh khol gai k samny 2 log kharien (stand) huay hai. Mujhy un ki shakal saaf nazar nhi ai.sar sy phaon tk safaad labas (white dress) pehna hua tha.jub main un ki taraf daikhny lagi tu aik ny apna hath meri taraf  badiya .us k baad mujhy neend aa gayi or main so gai.

Is waqiye k theek 5 din baad shabina ki maut ho gayi.shakal o surat tu achi hi payi thi.bimari k baha'is murja gait hi lakin death k baad tar o taza hogai thi.kafan main lipti hui bilkul shehzadi lag rahi thi.aurtien isy daikhny k ly tooti parh rahi thi.daikhi jati un ka dill nhi bharta tha. Bht mushkil sy janaza uthaya gaya.or aik saal tk gaon main is anokhi maut ka charcha raha.
Anonymous

Wafa Dar Kutta (Dog)

 


Baghdad mein 1 shakhs ne kutta paal rakha tha. Aik din is ka kahin jana howa to kutta bhi sath sath chalne laga, yahan tak ke is shakhs ka guzar is ke dushmanon ke paas se howa, unhon ne pakar liya aur aik makaan mein le ja kar qatal kar ke kunwein (Well) mein pheink diya, kutta un ke darwazay par para raha.

Un logon mein se 1 shakhs bahar nikla to kutta usay kaatnay ko dora, is ne logon ko madad ke liye puraka aur baa-mushkil jaan bachaai. Magar is waqea (Incident) ki ittila khalifa ko bhi hui to khalifa ne is shakhs ko bulaya aur poocha aakhir kya wajah hai kutta tairay peechay kyun par gaya?

Maqtool ki maa ne dekha to kaha mere betay ke dushmanon mein yeh shakhs bhi hai koi taajjub ki baat nahi yeh bhi qatilon mein shaamil ho. Chunancha khalifa ne apne khadimon ko hukum diya ke is shakhs ke sath sath chalo woh sabhi ja rahay they aur kutta bhi sath chalta raha yahan tak ke is kunwein par puhanche to kuttay ne zor zor se bhonkna shuru kar diya yeh maajra dekhte hi is shakhs ne iqraar kar liya ke mein ne dosray logon ke sath mil kar usay qatal kya hai. Chunancha khalifa ne qisaas mein tamam ko qatal kara dala. 

kutta bhi –apne maalik ka itna wafadar hai ke is ka namak khata hai to phir is ki chokhat se laga rehta hai aur apni wafadaari ka haq ada kar deta hai. Lekin hum ensaan apne rab-ul-ala-meen se kaisay ghaafil hue ke is ki har tarhan ki Nemat ke bawajood duniya mein aisay kho gaye ke apne rab ko bhool gaye aur is ke na-shukare ho gaye. 

Jaissa ke Allah farmata hai :" aur jo kuch tum ne manga sab mein ne tum ko inayat kiya aur agar khuda ke ahsaan ginnay lagu to shumaar nah kar sakuu. ( magar log nematon ka shukar nahi karte ) kuch shak nahi ke ensaan bara be insaaf aur na shukara hai." (SURAH IBRAHIM AYAAT 34)
Anonymous

Buri Fitratt Kabhi Nahi Badalti

 


Bayan kya jata hai, maluk (Country) Arab mein dakuon ke aik giroh ne aik pahar ki choti par mehfooz thikana bana liya tha. woh apni kameen gaah mein baithy rehtay aur jaisay hi koi qaafla idhar se guzarta. Tu pahar se utar kar usay loot letay Khalq-e-khuda in ke hathon bohat pareshan thi. Dakuon ka yeh thikana kuch aisa mehfooz tha ke unhein pakarney ki koi koshish kamyaab nahi hoti thi .

Jo bhi un ki taraf aata tha, woh door hi se dekh kar chuup jatay they. jab un ka zulm had se barh gaya to badshah ny aik hooshiyar jasoos ko un ki giraftari ke kaam par muqarrar kya. yeh jasoos aik jagah chuup gaya aur jab yeh khatarnaak daku daaka dalney ke liye chalay gaye to is ny Shahi fouj ko khabar day di. Fouj ke jawan pahar ki chouti par ponch kar chuup gaye. Daku daaka daal kar wapas aye to lambi taan kar sogye. Un mein se kisi ko bhi yeh gumaan nah tha ke hum mout ke jaal mein phas chuke hain. Fouj ke jawanu ko jab itminan ho gaya ke daku sogye hain to unhon ny sab dakuon ko mazboot rassiyon se jakar kar badshah ke darbaar mein paish kar diya aur badshah ny foran hi hukum suna diya ke un sab ko qatal kar diya jaye. Un dakuon mein aik nojawan bhi tha jis ki shakal bohat bholi bhaali thi. Badshah ke wazeer ny is nojawan ko dekha to usay is ke oopar bohat taras aaya. Is ny socha, kya achi baat ho jo is nojawan ki jaan bach jaye. 

Yeh soch kar is ny badshah se sifarish ki ke huzoor wala, is nojawan par reham farmaen aur is ki jaan bakhshi kar den. Abhi to is ny zindagi ki chand baharen hi dekhi hain. Is ki taleem o tarbiyat ka acha intizam kar diya jaye to umeed hai. Yeh aik acha ensaan ban jaye ga. Badshah ko apne wazeer ki yeh baat pasand nah aayi .

Is ne kaha, taleem o tarbiyat se ensaan ki fitrat nahi badla karti. Yeh dakuon ke khatarnaak giroh mein shaamil tha is liye yeh zurori hai ke dakuon kay sath usay bhi qatal kar diya jaye. Yeh aqalmandi nahi ke ensaan aag bujhaye aur angaray ko chore day ya saanp ko maaray aur sapole ko zindah rehne day. Wazeer ne badshah ki is baat ki taied ki aur kaha, be shak huzoor ne baja farmaya. Lekin mauqa dekh kar aik baar phir nojawan ki sifarish ki aur kaha. Is nojawan ki adaten waqai achi nahi. Lekin yeh buri adaten is ne bure logon mein rehne ki wajah se apnai hain. 

Ab achay logon ke sath rahay ga to acha ban jaye ga. Badshah –apne wazeer ki yeh baat sun kar khamosh ho gaya aur wazeer ne daku nojawan ko azad kar ke is ki taleem o tarbiyat ka bohat acha intizam kar diya. Kehte hain, yeh nojawan kuch din to theek raha lekin phir obaash logon mein uthnay bethnay laga aur aik din naik dil wazeer aur is ke beton ko qatal kar ke aur is ke ghar ka maal loot kar bhaag gaya aur isi pahari chouti ko apna maskan bana liya jis par is ke sathiyon ne qabza kar rakha tha. Badshah ko is waqeye ki ittila mili to is ne bohat afsos kya aur kaha jo buray hain, behtareen tarbiyat se bhi un ki islaah nahi hoti. achay se achay karigar bhi buray lohay se umdah talwar nahi bana sakta...
Urdu Post Pk

Taj Mahal ki dastaan Jis sy kam log waqif hai

Jub bhi duniya main mohabbat karne walon ka naam aata hai tu taj mahal ka zikar zarur aata hai.taj mahal ko duniya k mashoor ajobo main sy aik hart ingaize ajoba kaha jata hai .or duniya bar k log taj mahal ko dekhne aate hai lakin taj mahal ki is dastan sy kam hi log waqif hai.taj mahal haqeeqat mein mohabbat ki aik aham masala hai.kahi sadiyon sy taj mahal ka zakar shahariyon ki shayari bana howa hai.aik dafa ka zikar hai k aik shahzada khurram tha jis ko 15 saal ki umar main hi aik shehzadi sy pyar hogaya tha .aik riwayat k mutabiq dono ny 5 saal tk intezar kiya or us 5 saal main aik dosry ko kabhi nhi daikha or phir 1612 main un ki shadi anjaam payi.1628 main shahzady ko taj pehna kar shah-jahan banaya gaya magar is k ilwa mumtaz ka zaida dar tak malika bnaye rahna nhi tha . yehi waja hai k shah-jahan k 15 bachy k baad 1631 main 39 saal ki umar main wafaat payi.Mumtaz ki wafaat k baad shah-jahan dukhi ho gaya or tareekh k motabik so saal tak soogh manaya jata rhein gaya, in 2 saalon main na tu koi sangeet bajya gaya or na hi koi program rakha gaya .shahjahan na mumtaz ki yaad main ek maqbara tamer karny ka hukam diya.magar is ki bnaye sy pahly yah faisla kiya gaya k yah aik aisa maqbara hona chahiye jo na tu kabhi kisi ny banwaya hn or nhi hi kabhi daikha hon, tak shah-jahan or mumtaz ki mohabbat tareekh (history) ka hisa ban jaye.is maqbara ko banaye k laye agra or duniya bar sy mashoor marble or bohat sy khoobsurat pattar mangwaien gaye or phr is maqbara ka naam taj mahal rakh diya gaya.is ko khubsurat banaye main koi kasar nhi chodi gayi isly log dur da raiz sy is ko dekhne aty hai.taj mahal ka design arabic design ka hai .is main musallam nakash banaye gaye or sath hi qeemati (expensive) patar bhi jodwayien gayien. Kuch logoon ka kehna hai shah-jahan apna mazar bhi darya ki dosri taraf bnana chahta tha jo k taj mahal sy zaida khobsurat or mehnga bana tha jaisy kaly (black) marble sy tamer ki jana tha magar shah-jahan ka yah khawab poora nah n sakha isly shah-jahan ny apni wafat k baad taj mahal main hi jagha payi.is waqien ko 4 saadiyan guzr chuki hail akin phir bhi aj bhi taj mahal lakhon log ko hr saal apni taraf matwaja karta hai.or yehi umeed ki jati hai k yah taj mahal apny wajood k khatam hony tak isi taraf tawaja ka baha'is bana rhien ga .
Anonymous

Din aur Raat

 

Baadal he se niklny wali bijli ki chamak aisi hoti hai ke goya ab aankhon ki roshni le chali. Allah taala he din aur raat ko rado badal karta hai. Aankhon walon ke liye to is mein yaqeenan barri abrateen (Lesson) hain. Tamam ke tamam chalne phirnay walay jandaroon (Living Things) ko Allah he ne pani se peda kya hai. Un mein se baaz to pait ke bil chaltay hain. Surah Al-Noor

Saturday, 4 March 2017

Urdu Post Pk

Damaig jism ka sub sy aham hizaa (part)

Damaig insan k jism ka sb sy aham hizaa hai . yah 24 ghanty active rhta hai yah insan k pada (birth) hony k sath hi active hn jata hai.yeh hamari padish (birth) sy ly us waqt tak active rehta hai jab tk k ....................  hamari shaadi nhi hn jati .