Atish-e-Namrood main Hazrat Ibrahim (A.S) k sath koi aur nahi bal-ke namrood ki hi beti b thi.
Wakiya kuch ase ha k namrood ne apne baad se kaha. Aba Jaan! ijazat dain mujhe main Ibrahim ko agg main jalte dakhu. Namrood ne ijazat de aur aur iss ne agg k pass ja k Ibrahim (A.S) ko dakha k app k ird-gird aag bharak rahi ha. Uss ne kisi unchii jagha par char k dakha tu aag k shole asman se baatain kar rehe the lakin Ibrahim (A.S) bilkul theek the. Uss ne heran ho kar Hazrat Ibrahim (A.S) se sawal kiya k itni bari aag tumhe jalati kyo nahi.
App ne farmaya "Jis ki zuban par Bismillah jari ho aur dil main khuda ki marfat ka noor ho. Us par aag ka asar nahi hota. Namrood ki beti ne jab App (A.S) ko agg k bharakte sholon main b mutmain paya tu boli Aee Ibrahim main tumhare pass aana chahti hu. Lakin charon taraf agg k shole bharak rehe hain main kese aayo.
App ne farmaya, "la ilaha illallah Ibarhim Khalil Allah" Keh kar bekhoof chali aayo. Namrood ki beti ne iss kalme ko parha aur foran agg main kood pari. Khuda ki Kudrat. Agg iss par sard ho gai. Jab Ibrahim (A.S) k pass se ghr wapis aayi aur jab baap ko sari sargazisht sunni tu Namrood gusse me aa geya,
Phele tu use samjate howe kaha k main tere bhale ki baat kar raha hu. Deen-e-Ibrahim se bazz aaa ja. Aur botton (Idols) ki pojha se moo na phero warna acha na ho ga. Jab shakthiyan had se bhar gai. Tu Allah k hukam se Hazrat Jibrial (A.S) aaye aur Allah ki payari ko wahan se utha kar Hazrat Ibrahim (A.S) k pass poncha diya. Hazrat Ibrahim (A.S) ne apne larke k nikah me de diya...