App (S.A.W) k wasal-e-mubarik k bad b App (S.A.W) k mojzaat Sahaba k zariye apni roshni se islam ko manawar (bright) karte rehe.
Issi tarha ek wakiya Jang Yarmook main pesh aaya. Jab Hazrat Khalid Bin Waleed (R.A) ki topi kahi ghum ho gai. Hazrat Khalid Bin Waleed (R.A) bohat pershan howe. App ne apne sathiyon ko hukam diya. "Fori tor par (Immediately) topi (Cap) ko talash kiya jye". General ka hukam hote hi topi ki talash main sare sapahi jurr ge, bohat dair tak topi ko dhoondte rehe, Lakin topi na mili. Hazrat Khalid Bin Waleed (R.A) ki pershani bharti ja rahi thi. App (R.A) ne phir hukam diya. "Iss topi ko har kimat par talash kiya jye". Akhir kar kafi mehnat k bad topi mil gai. Loog topi ko dakh k bohat heran howe. Kyo k topi bohat purani aur bosida thi. Wo bohat herat se topi ko le kar Hazrat Khalid Bin Waleed (R.A) ki khidmat me hazir howe aur arz kiya k itni purani aur bosida hal topi k liye itna pershan hone ki kya zururat thi.
Hazrat Khalid Bin Waleed (R.A) ne farmaya "Ek dafa Hazrat Mohammad (S.A.W) ne umra ada farmya tha. aur apne sir mubarik k moye mubarik utarwaye the. Logon ne moye mubarik lene main jaldi ki aur main ne peshani mubarik k moye lene main sabkat li. Iss k bad Hazrat Mohammad (S.A.W) ne in moye mubarik ko iss topi main mehfoos farma k mujhe inayat farma di. Iss k bad main jis jang main b shareek howa ye topi mere sath hi rahi aur Allah ne iss ki barkat se mujhe har jang (War) main Fatah ata ki.