Our Feeds

Tuesday, 21 February 2017

Anonymous

Guru aur Doo Chele



Ek Mashoor (Famous) guru tha. Uss k doo chele the jo har roooz uss ki khidmat me rehte aur gayan hasil karte. Jab inn ki taleem mukamal howi aur wo apni apni manzil ki janib jane k liye tayar howe tab guru ne un me se ek ko bulaya aur us sawal karte howe pocha. "Ab tumhari taleem mukamal ho chuki ha aur yeah waqat yahan se tumhara rukhsat hone aur duniya main apni jagha talash krne ka ha. tu tumhare pass apne mustakbil k liye kya mansuba ha"?

Chele ne kaha: Jab main apni amli zindagi shuru karu ga tu main mukhtalif (different) wasail (resources) istemal karte howe kamyabi aur khush hali talash karu ga". Guru ne us ka jawab suna aur ek thela thamaya jo k sone (Gold) k sikon se bhara howa tha. Use dawon se nawaza aur jane ki ijazat de di.

Ab Guru ne dosre chele ko bulaya aur us se bhi wohi sawal dohraya.

Dosre Chele ne jawab diya: "jab main apni amli zindagi shuru karu ga tu mujhe bhi kamyabi aur khush hali chahiye jo main apne bal bute par talash karu ga." Guru ne use ek chandi (Silver) ka sika thamate howe duwain de k rukhsat kiya. "

Ek Shaks Guru aur Chelon k dermeyan hone wali baat cheet ko sun aur dakh raha tha. Jab chele apni apni manzil ki janib rawana ho ge aur wo guru k pass geya aur us se pocha k "Kya wajha ha k ek chele ko sone se bhara bag diya aur dosre ko sirf ek chandi ka sika thama diya"

Guru g muskuraye aur unho ne jawab diya k "main janta hu k phele cheela jis kamyabi aur khush hali ki talash me ja raha ha wo unhe nahi pa sakta kyo k wo unhe pane k liye beruni kuwaton par inhesar kare ga. use iss sone (Gold) k thele ki zuruar ho gi, jo k iss ka zayada dair tak sath nahi dain ge kyo k iss me khud inhesari aur khud atemadi ka fukdaan ha. Aur dosre jo apne bal-bute par kamyabi hasil krna chahta ha wo use hasil kar le ga use mere maal ki zururat nahi. Main ne use sirf ek sika iss liye diya k wo kahi ponch kar apna kam shuru kar sake."

Wo shaks guru k jawab se heran reh geya jis ne dono chelon k jawab se inn k mustakbil bare durust andaza laga geya tha..

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »