Our Feeds

Wednesday, 22 February 2017

Anonymous

Jute aur Pese....


Kisi university ka ek nojawan student ek din apne professor k sath chal kadmi (Walk) kar raha tha. Professor apne mashukana tabyet ki wajhe se tamam students main kafi makbool (Famous) the. Chal Kadmi (Walk) karte howe achanak professor ki nazar bohat purane aur khasta haal jutton par pari. Jo pass hi kheet (fields) main kam karte howe gareeb kisan (Poor Farmer) k lagte the.

Student Professor se khene laga "Asa karte hain k iss kisan k sath kuch dillagi karte hain aur iss k jute (Shoes) chupa deta hain aur khud b inn jahriyon k peeche chup jate hain. aur phir dakhte hain k jute na milne par kisan kya karta ha." Professor ne jawab diya " Hume khud ko mehtoot (Fun) krne k liye kabhi bhi kisi gareeb k sath mazak nahi krna chahiye. " Tum ek ameer larke ho aur iss gareeb ki wasssat se tum ek ehsan tarike se mehtoot  ho sakte ho. Asa karo inn juton ki jori (Pair of Shoes) main kuch pese dal do aur phir hum chup (Hide) jate hain aur dakhte hain k pese milne par kisan (Farmer) ka kya rad-e-amal (Impression) hota ha.

Larke ne asa hi kiya aur dono pass hi chup ge. Gareeb kisan kam kar k iss jagha poncha jahan isss k jute aur coat para howa  tha. Coat phente (wear) howe jese hi us ne apna  ek pao (Foot) jute main dala tu use under kuch mehsoos howa. Wo dakhne ki khatir jhuka tu use jute me kuch pese mile. Uss ne peson ko bohat herani se dakha, use ulat palat kiya aur use bar bar dakhne laga. Phir us ne apne charon taraf nazar durhai  shyd use pass koi banda nazar aa jye. Lakin use koi nazar na aaya. Phir us ne wo pese apne coat ki jaib main dal liye.

Phir us k herat ki inteha na rahi jab dusra paon (Second shoe) phente waqat use dobara se pese mile. Isss k sath hi us ki ankhon se ansu jari ho ge. Wo  apne guthon k bal gir para aur asman ki taraf moo kar k apne Rab ka shukar ada karne laga. Jis ne iss ki maddad farmai. Warna iss ki bemar bivi aur bhokhe bachon ka jo k ghr main roti tak ko taras rehe the, koi asra na tha. Student par isss k bohat gehra asar howa aur uss ki ankhon main ansu aaa ge. Usi waqat achanak professor bol pare aur larke se pochne lage? "Kya tum ab zayada khushi mehsoos kar rehe ho ya uss tarha karte jo tum krna chaa rehe the".

Larke ne jawab diya "Ajj app ne mujhe asa sabak seekhaya ha, use main baki ki sari zindagi nahi bholu ga, aur ajj mujhe in alfaz ki hakikat ka bhi sahi se matlab pata chala ha. Jo phele kabhi theek tarha se samaj nahi aaya tha k dene wala hath, lene wale hath se hamesha bether howa ha...

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »