Our Feeds

Tuesday, 21 February 2017

Anonymous

Main Tu Kambal Ko Chor Raha Hu, Kambal Mujhe Nahi Chor Raha......



Ek shaks darya k kinare kinare ja raha tha k use koi cheez terti howi nazzar aayi. Kuch saaf nazar nahi aaa raha tha k ye cheez kya ha. Ghoor se dakhne par mehsoos howa k ye cheez koi ek siyah rang ka kambal ha. Iss shaks ne socha k kambal kashti main safar karte howe kisi musafir ki galti se darya main gir geya ha aur irdgird (Surrounding) koi insan nazar nahi aaa raha. Isss liye wo ye kambal  lene main hak ki janib ha.

Wo abhi soch hi raha tha k kambal k kese hasil kare k achanak kuch door use ek admi aata howa dikhai diya. Iss shaks ne socha k iss se phele k wo dosra admi b kambal ko dakhe aur apna hakk (Right) dikhaye, mujhe kuch karna chahiye. Ye khayal aate hi isss shaks ne darya main chalang (Jump) laga di. Wo tezi se kambal ki taraf tehra (Swim) aur kambal ko pakar kar apni taraf kencha. Iss ki herat ki inteha na rahi jab kamabl ne b use apni taraf keechna shuru kar diya. Issi duran use pata chala k jise wo kambal samaj raha tha wo asal main reech (Beer) ha. Reech (Bear) se jaan churane k liye us shaks ne darya main hath pao chalana shuru kar diye.

Iss doran dosra admi b kinare tak ponch chuka tha. Jab iss shaks ne kambal wale shaks ko doobte howe dakha tu chala k pocha "Kya Tumhe Terna (SWIM) Aata Ha". Jawab main doobte howe shaks ne chala k kaha  "Haan". Lakin yeah kambal mujhe terne (Swim) nahi de raha. Dosre admi ne kaha k iss kambal ko choro aur kinare ki tarah teher (Swin) kar apni jan bachao. Dobne wale admi ne be-basi k sath kaha "Main tu kambal ko chor raha hu, Kambal mujhe nahi chor raha"

Theek issi tarha ajj hum loog duniya k darya main bethe behte kamblon se chimat ge. Jab in ki hakekat samne aayi  tab tak kafi dair ho chuki thi kyo k inn kamblon ne ab hum logon ko daboch liya tha..

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »