Ye kahani meri padaish se shuru hoti ha. Main ek gareeb family ka ek hi beta tha. Humare pass khane ko kuch bhi na tha. Aur agar kabhi khane ko humne kuch mil b jata tu ami apne hisse ka khana bhi mujhe de deti aur khetin, "tum kha lo mujhe bhook nahi ha". Ye meri maaa ka phela jhoot tha.
Jab main thora bara howa tu maaa ghr ka kam katham kar k kareebi jheel (Pond) par machiyan pakrne jati.
Ek din Allah k karam se Dooo machliyan (Fish) pakar lain tu unhe jaldi jaldi pakaya aur mere samne rakh diya. Main khata jata aur jo kante k sath thora laga reh jata use wo khatin. Ye dakh k mujhe bohat dukh howa. Main ne dusri machli maa k samne rakh di. Is ne wapis kar di aur kaha "Beta tum kha lo na. Tumhe pata tu ha k mujhe machli bohat zayada pasand nahi" Ye meri maa ka dosra jhoot tha.
Ek din mera final paper tha. Maa ne zid ki k wo bhi mere sath chale gi. Main under paper de raha tha aur wo bahar dhoop main khari mera intezar kar rahi thi. Main bahar aaya tu us ne mujhe apni aagosh me le liya aur thanda juice pene ko diya jo maa ne mere liye liya tha. Main ne juice ka ek ghoont piya aur maaa k pasene se bhare chehre ki taraf dakha. Main ne juice in ki taraf barha diya tu wo boli. Mujhe payaas nahi ha. Ye meri maa ka tersa jhoot tha.
Mere baap ki mout ho gai tu meri maa ko akele hi zindagi guzarna pari. Zindagi aur mushkil ho gai. Akeli hi ghr ka karcha chalana tha. Nobat fakoon tak aaa gai thi. Mera chacha ek acha insan tha. Wo humare liye kuch na kuch bejh deta. Jab parosiyon ne meri maaa ki halat dakhi tu unhe ne meri maa ko yeah keh k dosri shadi ka mashwara diya k tum to abhi jawan ho. Magar meri maaa ne kahan "nahi mujhe sahare ki zururat nahi". Yeah meri maaa ka panchwa jhoot tha.
Jab main ne graduation mukamal kar liya tu mujhe ek acha job mil geya. Main ne socha k ab maa ko aram krna chahiye aur ghar ka karch mujhe uthana chahiye. Wo bohat burhi ho gain ha aur main ne un ko kam karne se mana kar diya aur apni tankhuwa (Sallery) se kuch rakam in k liye alehda kar di tu us ne lene se inkar kar diya aur kaha k "tum rakh lo, mere pass hain, mujhe peson ki zururat nahi ha" Ye meri maaa k chatha (6th) jhoot tha.
Main ne job k sath sath apni parhai b puri kar li tu meri tankhuwa bhi bhar gai aur mujhe Germany main kam ki offer howi aur settle ho geya. Settle hone k bad unhe apne pass bulane k liye phone kiya tu us ne meri tangi k khayal se mana kar diya aur kaha k mujhe bahar rehne ki adat nahi ha. Main nahi reh payo gi. Ye meri maa ka satwan (7th) jhoot tha.
Meri maa bohat burhi ho gai. Unhe cancer ho geya. Unhe dakh bhal k liye kisi ki zururat thi. Main sab kuch chor char k in k pass ponch geya. Wo bister par leti howi thi. Mujhe dakh kar muskurane ki koshish ki. Mera dil in ki halat par khoon k ansu roo raha tha. Meri Ankhoon se ansu nikal aaye. Tu wo khene lagi "Mat roo beta. Main theek hu mujhe koi takleef nahi ho rahi. Yeah meri maaa ka aathwa (8th) jhoot tha. Aur phir meri maaa ne hamesha k liye ankhe band kar lin.
Jin k pass maa ha. Iss azeem nemat ki hifazat karin. Isss se phele k yeah nemat tum se bichar jye. Aur jin k pass nahi ha. Yaad rakhna unho ne tumhare liye kya kuch kiya. Aur un ki magfirat k liye dua karte rehna.