Our Feeds

Tuesday 21 February 2017

Anonymous

Shetan, Phanda aur Ikhlaq


Khete hain k ek din ek shetan betha rasiyon k phande tayar kar raha tha. Kuch moti moti rasiyon k phande the, kuch bareek aur kamzoor rasiyon k phande the. Wahan se ek Ilm wale ka guzar howa tu us ne shetan se pocha "Ooooo Dushamn-e-Insan yeah kya kar rehe ho?"

Shetan ne sir utha k dakha aur apna kam jari rakhte howe bola. "Dakhte nahi Hazart insano ko kabu krne k liye phande tayar kar raha hu.
In Hazrat ne Pocha "Yeah kese phande hain kuch mote aur kuch halke?"

Shetan ne jawab diya "Phande inn logon k liye hain jo shetan ki baaton me nahi aate. Lehaza mukhtlif (Different) kisam k phande tayar krne parte hain.
In Hazrat k dil main tajasus peda howa, Pocha "Kya mere liye bhi koi phanda ha."

Shetan ne sir utha k muskurate howe bola "App Ilm walon k liye mujhe phande tayar nahi krne parte. App logon ko tu main chutkiyon main gherr leta hoon. Ilm ka takabur hi kafi ha app logon ko gherne k liye"
 In Hazrat ne heran ho k pocha "Phir yeah mote phande kin k liye hain".

Shetan ne Kaha "Mote phande Ikhlaq walon k liye hain, Jin k Ikhlaq ache hain. Inn par kabu pana mushki hota ha."

Ek Hadees Shareef main ha k amal main sab se zayada wazni cheez Ikhlaq ha.

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »