Our Feeds

Tuesday, 21 February 2017

Anonymous

Uss Ne Apni Kismat Khud Badli


Ek Gaon (Village) main do kisan rehte the. Dono k pass fasal k liye zameen thi. Ek dafa asa howa k jab faslon ko pani dene ka waqat aaya tu in ko pani ki shadeed kami ka samna krna para. Abhi Moonsoon bhi bohat door tha. Dono kisan (Farmer) bht pershan howe aur isi pershani me dono ne asman ki taraf hath phila k barish k liye dua ki lakin barish na howi.

Issi surat-e-hal ko dakhte howe ek kisan ne apne beton k sath mil k zameen khodna shuru kar di. Wo har rooz subha se le k suraj doobne tak zameen khodte. Jab k dosri taraf dosra kisan aur us k bete sirf dua magne main mashgool rehte. Jab hi phele kisan aur us k bete kuwan (Well) banane main kamyab ho ge. aur faslon ko pani dena shuru kar diya aur issi saal un ki fasal bht achi howi.

Jab k dosra kisan aur us k bete sirf dua e karte rehe aur pani na hone ki wajhe se un ki fasal barbad ho gai. 

Yahan par yeah sawal ha k kya phela kisan khush kisamt tha ya us ne apni kisamt khud banai. Kya khuda app ki madad kar sakta ha. Agar ap apni madad khud nahi karte?

Hamesha yaad rakhe k app ki zindagi sirf app ki ha aur app hi iss me khas khilari hain. App hi apni zindagi k hero hain aur koi bhi app ko app ki jagha se nahi hata sakta. App apni zimadari k khud zimedar hain, Chahe wo khushi ho ya gham, acha ho ya bura, Kamyabi ho ya nakami....

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »