Ek badshah ne ek yateem larke ko apne mehal me panah de rakhi thi. Badshah ki adat thi k jab bhi use khana pesh kiya jata tu phele us khane ko yateem larka khata tha aur bad main badshah. Ye silsila kafi arse tak chalta raha. Ek din badshah k samne kuch phal laye ge. Tu badshah ne mamool k mutabik phal (Fruit) phele larke ko khane ko diya.
Badshah ne phal ko kat kar larke ko diya. Jise wo bht aram se kha geya. Badshah ne larke se pocha. Beta phal ka zaika kesa ha. Larke ne jawab diya "phal bht metha ha. Jese hi larka phal kha chuka tu badshah ne ek apne liye phal kat liya. Jese hi badshah ne phal moo me rakha tu foran thook diya tu forna kaha "Toba Toba itna karwa". Badshah ne herat se larke ki taraf dakh k pocha ". Tu larke ek asa jawab diya k sab heran ho ge.
Us ne kaha "Hazoor! app mujh gareeb ko rozana itne ache khane khikate hain. Phele mujhe khilte hain aur bad main khud khate hain. Hala k main iss izzat k kabil nahi. Tu kya howa agar ek martaba karwa phal khane ko mil geya. Main tu isse bhi app ka ehsan samaj k kha geya.
Aggar hum apne app ko dakhe. Hum par Allah ki kitni naimation ka ehsan ha. Hum har lamha un se faida uthate hain. Agar humare uper kabhi koi azmaish aaa jye tu kya hum use bhi Allah ka ehsan samaj kar bardasht nahi kar sakte.....?