Our Feeds

Tuesday 21 February 2017

Anonymous

Jab Tum Kitab Parthe Ho Tu.....


Ek Kisan (Farmer) apne jawan pote (Grandson) k sath pahar par rehta tha. Dada Rozana subha sawere uth jata aur kitchen ki maiz (Table) par beth kar kitaab ka mutala (Study) karta. Ek din pote (Grandson) ne dade (Grandfather) se sawal kiya. "Dada g main app ki tarha kitaab parhne ki koshish karta hu. Magar mujhe kuch samaj nahi aata aur agar kuch samaj aaa jye tu kitaab band karne k baad foraan bhool jata hu. Kitaab parhne ka bethreen tarika kya ha."

Dada G ne Pote ka sawal suna. Muskuraya, Dada G ne ek koyle (Coal) ki tokri (Basket) uthai. Pote ki taraf mura (Turn back) aur use kaha "Koylon se bhari yeah tokri darya k pass le jyo, khali karo aur pani se bhar k la k mujhe wapis do". Pote ne dada g ki hadayat par amal kiya, Lakin ghar ponchne se phele e tokri main se sara pani beh geya. Dada G ne kehka (Laugh) lagaya aur bola k agli bari tumhe thora jadli aana ho ga. Ye khete howe dada g ne pote ko dobara darya par bejh diya. Pota iss dafa tezi se bagha lakin ghar ponchne se phele tokri phir khali ho gai. Pote ne Dada G se arz kiya "Dada G tokri main pani lana na-mumkin ha."

Pota geya aur iss ne tokri k bijye balti utha li. Dada G ne kaha "Mujhe pani ki bhari howi balti nahi, pani ki bhari howi tokri chahiye. Bs tum zayada mehnat nahi kar rehe. Tezi se jyo aur tezi se bhag k wapis aa jyo." Pota phir tokri le kar chala geya. Dada pote ki mehant dakhne darwaze (Door) se bahar aaa geya. Pota jitni taiz bagh sakta tha wo bagha, Darya k pass geya, Tokri ko pani main daboya aur tezi se baghna shuru kar diya. Natija (Result) iss bar bhi wohi nikla.

Pote ne phuli sanns k sath Dada G se arz kiya "Dakha dada jan, ye kisi kam ki nahi." Dada G ne muskura k pocha "Tumhare khayal main yeah be-faida ha lakin tum tokri ki taraf dakho." Nojawan ne tokari ki taraf dakha aur use pheli bar yeah mehsoos howa k tokri k under jami koyle ki kalak dhul chuki ha aur yeah under aur bahar dono taraf se saaf ho chuki ha.

Dada Pote se  mukhatib howa. "Beta jab tum kitab parthe tu tum kuch samjho ya na samjho, Lakin jab tum kuch parhte ho tu tum under aur bahar dono taraf se saaf ho jate ho. Bilkul iss tokri ki  tarha.....


Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »