Our Feeds

Wednesday 22 February 2017

Anonymous

Quran Majeed Ka Dawa


Allah ne Quran main Insano aur Jino ko khula challange diya ha k agar wo zameen k kinaron se nikal sakte hain tu nikal k dikha dain. Ye baat ajj se 1400 saal (14 hundred years) phele beyan kar di gai ha aur Scientist ajj iss baat ki tasdeek krne par majboor ha k zameen (Earth), Suraj (Son), Chand (Moon) aur Sitaron (Stars) k ird gird black hole se kisi ka nikalna mumkin nahi.

Mahereen (Experts) kainat k raaz ko samjhne ki koshish kar rahe hain aur yeah mozu (Topic) ha bhi itna dilchasp k shayad hi koi insan ho jo iss k bare main na janta ho.

Experts ne Event Horizon Telescope naami ek telescope jo ek bar puri zameen ko dakhne ki shilahiyat (ability) rakhti ha tayar ki ha. Jis ka 4 se 15 April ko tajarba (Experiment) kiya jye ga aur iss se duniya ki tareehk main pheli bar black hole dakha jye ga.

Black hole jo k suraj se 20 million zayada bara ha ka pheli bar mushahida (Observation) ki jaye gi aur iss se ehm (Important) malumat hasil ki jain gi. Experts ka khena ha k Super Black Hole jo k suraj se Billions gunnah bara ha ek boundary ha jis se kisi ka b nikalna mumkin nahi.

Project Leader ka khena ha k hum Doo dahiyon (Two Decades) se black hole ko janne ki koshish kar rehe hain, ab ja kar iss main kamyabi ka imkan nazar aaya ha aur hum 4 se 15 April tak iss ka experiment karne ja rehe hain....

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »