Our Feeds

Monday 20 February 2017

Anonymous

Ajwa Khajoor


Ek Habshi (Black) jis ki naak moti (Nose) ankhen (Eyes) choti, Siyah rang, Chalta tu langrahat saaf nazar aati. Jo k khajooren (Dates) bech raha tha. Ye Khajooren naram na thi aur zaiqa (Taste) main bhi baki khajooron se mukthlif (Different) thin. Jab k rang gehra aur dana b bohat chota sa tha. Jholi main aayi khajooren iss bagh ka akhri phal tha. WO shaher (City) main unhe bechne ka irada rakhta tha lakin un ka koi khareedar na tha.

Issi duran aawaz aayi. Aaa Bilal "Ye Khajoor tu tujh jesi kali (Black) aur khushk (Dry) ha. Dil ko thes lagi aur ankh se ansu nikal aaya. Bilal (R.A) khajooren jholi main samet kar beth ge. Ase me wahan se Hazrat Mohammad (S.A.W) ka guzar howa. APP (S.A.W) se Bilal (R.A) se rone ka sabab pocha. To Bilal (R.A) ne app ko sara majra suna diya. Hazrat Mohammad (PBUH) ne bazar ki taraf apna rukd kiya aur awaz lagai.

Logo ye khajoor "AJWA" ha. Ye dil, Falaj, Aur satar amraz (Disease) k liye shafa ha aur  logo ye khajoon ki sardar ha. Phir yeah keh kar bs nahi kiya, Farmaya jo use kha le ga use jadu se aman ha. Manzar badal geya, Wo Bilal (R.A) jin k pass chand lamhat phele  kuch nahi tha, Hazoor pak (S.A.W) ki wajhe se loog ab un ki minten kar rehe the. Aur Bilal  kis manchale bache ki manid aage bagh rehe the aur loog un k peeche peeche.

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »