Baghdad mein 1 shakhs ne kutta paal rakha tha. Aik din is ka kahin jana howa to kutta bhi sath sath chalne laga, yahan tak ke is shakhs ka guzar is ke dushmanon ke paas se howa, unhon ne pakar liya aur aik makaan mein le ja kar qatal kar ke kunwein (Well) mein pheink diya, kutta un ke darwazay par para raha.
Un logon mein se 1 shakhs bahar nikla to kutta usay kaatnay ko dora, is ne logon ko madad ke liye puraka aur baa-mushkil jaan bachaai. Magar is waqea (Incident) ki ittila khalifa ko bhi hui to khalifa ne is shakhs ko bulaya aur poocha aakhir kya wajah hai kutta tairay peechay kyun par gaya?
Maqtool ki maa ne dekha to kaha mere betay ke dushmanon mein yeh shakhs bhi hai koi taajjub ki baat nahi yeh bhi qatilon mein shaamil ho. Chunancha khalifa ne apne khadimon ko hukum diya ke is shakhs ke sath sath chalo woh sabhi ja rahay they aur kutta bhi sath chalta raha yahan tak ke is kunwein par puhanche to kuttay ne zor zor se bhonkna shuru kar diya yeh maajra dekhte hi is shakhs ne iqraar kar liya ke mein ne dosray logon ke sath mil kar usay qatal kya hai. Chunancha khalifa ne qisaas mein tamam ko qatal kara dala.
kutta bhi –apne maalik ka itna wafadar hai ke is ka namak khata hai to phir is ki chokhat se laga rehta hai aur apni wafadaari ka haq ada kar deta hai. Lekin hum ensaan apne rab-ul-ala-meen se kaisay ghaafil hue ke is ki har tarhan ki Nemat ke bawajood duniya mein aisay kho gaye ke apne rab ko bhool gaye aur is ke na-shukare ho gaye.
Jaissa ke Allah farmata hai :" aur jo kuch tum ne manga sab mein ne tum ko inayat kiya aur agar khuda ke ahsaan ginnay lagu to shumaar nah kar sakuu. ( magar log nematon ka shukar nahi karte ) kuch shak nahi ke ensaan bara be insaaf aur na shukara hai." (SURAH IBRAHIM AYAAT 34)