Our Feeds

Monday, 6 March 2017

Anonymous

Buri Fitratt Kabhi Nahi Badalti



Bayan kya jata hai, maluk (Country) Arab mein dakuon ke aik giroh ne aik pahar ki choti par mehfooz thikana bana liya tha. woh apni kameen gaah mein baithy rehtay aur jaisay hi koi qaafla idhar se guzarta. Tu pahar se utar kar usay loot letay Khalq-e-khuda in ke hathon bohat pareshan thi. Dakuon ka yeh thikana kuch aisa mehfooz tha ke unhein pakarney ki koi koshish kamyaab nahi hoti thi .

Jo bhi un ki taraf aata tha, woh door hi se dekh kar chuup jatay they. jab un ka zulm had se barh gaya to badshah ny aik hooshiyar jasoos ko un ki giraftari ke kaam par muqarrar kya. yeh jasoos aik jagah chuup gaya aur jab yeh khatarnaak daku daaka dalney ke liye chalay gaye to is ny Shahi fouj ko khabar day di. Fouj ke jawan pahar ki chouti par ponch kar chuup gaye. Daku daaka daal kar wapas aye to lambi taan kar sogye. Un mein se kisi ko bhi yeh gumaan nah tha ke hum mout ke jaal mein phas chuke hain. Fouj ke jawanu ko jab itminan ho gaya ke daku sogye hain to unhon ny sab dakuon ko mazboot rassiyon se jakar kar badshah ke darbaar mein paish kar diya aur badshah ny foran hi hukum suna diya ke un sab ko qatal kar diya jaye. Un dakuon mein aik nojawan bhi tha jis ki shakal bohat bholi bhaali thi. Badshah ke wazeer ny is nojawan ko dekha to usay is ke oopar bohat taras aaya. Is ny socha, kya achi baat ho jo is nojawan ki jaan bach jaye. 

Yeh soch kar is ny badshah se sifarish ki ke huzoor wala, is nojawan par reham farmaen aur is ki jaan bakhshi kar den. Abhi to is ny zindagi ki chand baharen hi dekhi hain. Is ki taleem o tarbiyat ka acha intizam kar diya jaye to umeed hai. Yeh aik acha ensaan ban jaye ga. Badshah ko apne wazeer ki yeh baat pasand nah aayi .

Is ne kaha, taleem o tarbiyat se ensaan ki fitrat nahi badla karti. Yeh dakuon ke khatarnaak giroh mein shaamil tha is liye yeh zurori hai ke dakuon kay sath usay bhi qatal kar diya jaye. Yeh aqalmandi nahi ke ensaan aag bujhaye aur angaray ko chore day ya saanp ko maaray aur sapole ko zindah rehne day. Wazeer ne badshah ki is baat ki taied ki aur kaha, be shak huzoor ne baja farmaya. Lekin mauqa dekh kar aik baar phir nojawan ki sifarish ki aur kaha. Is nojawan ki adaten waqai achi nahi. Lekin yeh buri adaten is ne bure logon mein rehne ki wajah se apnai hain. 

Ab achay logon ke sath rahay ga to acha ban jaye ga. Badshah –apne wazeer ki yeh baat sun kar khamosh ho gaya aur wazeer ne daku nojawan ko azad kar ke is ki taleem o tarbiyat ka bohat acha intizam kar diya. Kehte hain, yeh nojawan kuch din to theek raha lekin phir obaash logon mein uthnay bethnay laga aur aik din naik dil wazeer aur is ke beton ko qatal kar ke aur is ke ghar ka maal loot kar bhaag gaya aur isi pahari chouti ko apna maskan bana liya jis par is ke sathiyon ne qabza kar rakha tha. Badshah ko is waqeye ki ittila mili to is ne bohat afsos kya aur kaha jo buray hain, behtareen tarbiyat se bhi un ki islaah nahi hoti. achay se achay karigar bhi buray lohay se umdah talwar nahi bana sakta...

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »