Jub bhi duniya main mohabbat karne walon ka naam aata hai tu taj mahal ka zikar zarur aata hai.taj mahal ko duniya k mashoor ajobo main sy aik hart ingaize ajoba kaha jata hai .or duniya bar k log taj mahal ko dekhne aate hai lakin taj mahal ki is dastan sy kam hi log waqif hai.taj mahal haqeeqat mein mohabbat ki aik aham masala hai.kahi sadiyon sy taj mahal ka zakar shahariyon ki shayari bana howa hai.aik dafa ka zikar hai k aik shahzada khurram tha jis ko 15 saal ki umar main hi aik shehzadi sy pyar hogaya tha .aik riwayat k mutabiq dono ny 5 saal tk intezar kiya or us 5 saal main aik dosry ko kabhi nhi daikha or phir 1612 main un ki shadi anjaam payi.1628 main shahzady ko taj pehna kar shah-jahan banaya gaya magar is k ilwa mumtaz ka zaida dar tak malika bnaye rahna nhi tha . yehi waja hai k shah-jahan k 15 bachy k baad 1631 main 39 saal ki umar main wafaat payi.Mumtaz ki wafaat k baad shah-jahan dukhi ho gaya or tareekh k motabik so saal tak soogh manaya jata rhein gaya, in 2 saalon main na tu koi sangeet bajya gaya or na hi koi program rakha gaya .shahjahan na mumtaz ki yaad main ek maqbara tamer karny ka hukam diya.magar is ki bnaye sy pahly yah faisla kiya gaya k yah aik aisa maqbara hona chahiye jo na tu kabhi kisi ny banwaya hn or nhi hi kabhi daikha hon, tak shah-jahan or mumtaz ki mohabbat tareekh (history) ka hisa ban jaye.is maqbara ko banaye k laye agra or duniya bar sy mashoor marble or bohat sy khoobsurat pattar mangwaien gaye or phr is maqbara ka naam taj mahal rakh diya gaya.is ko khubsurat banaye main koi kasar nhi chodi gayi isly log dur da raiz sy is ko dekhne aty hai.taj mahal ka design arabic design ka hai .is main musallam nakash banaye gaye or sath hi qeemati (expensive) patar bhi jodwayien gayien. Kuch logoon ka kehna hai shah-jahan apna mazar bhi darya ki dosri taraf bnana chahta tha jo k taj mahal sy zaida khobsurat or mehnga bana tha jaisy kaly (black) marble sy tamer ki jana tha magar shah-jahan ka yah khawab poora nah n sakha isly shah-jahan ny apni wafat k baad taj mahal main hi jagha payi.is waqien ko 4 saadiyan guzr chuki hail akin phir bhi aj bhi taj mahal lakhon log ko hr saal apni taraf matwaja karta hai.or yehi umeed ki jati hai k yah taj mahal apny wajood k khatam hony tak isi taraf tawaja ka baha'is bana rhien ga .