Our Feeds

Tuesday 21 February 2017

Anonymous

Sachi Kahani


Maindak (Frog) ko pani se barhe ek bartan (Pot) main dalen aur pani ko garam krna shuru kar dain. Jese jese pani ka darjahararat (Temperature) barhata jye ga, tu maindak us k mutabik (Accordingly) apne jisam ka darjahararat (Temperature) muratab (Adjust) kar le ga. 

Maindak (Frog) barhte howe darjahararat (Temperature) k sath sath apne jisam k darjahararat (Temperature) muratab (Adjust) karta rehe ga. Jab pani boiling point tak ponch jye ga tu maindak apne jisam k darjahararat (Temperature) ko mazeed muratab (Adjust) nahi kar paye ga. Isss waqat maindak faisla kare ga k wo bahar kood (Jump) jye. 

Maindak koodne (Jump) ki koshish kare ga lakin wo nakaam rehe ga kyo k us phele hi apni sari takat (Strength) apne jisam k darjahararat (Temperature) ko maratab (Adjust) karne me laga de ga. Bohat jald maindak mar jata ha. 

Maindak ko kis ne mara?
zara sochiye...

Main janta hu k hum me se bohat se kahe ge k garam pani ne. Lakin sachi yahi ha maindak jo jis ne mara wo fasila lene me us ki apni na-ahli (Inability) thi k jab koodna (Jump) ha. Hum sab ko logon aur halat (Situations) k sath adjust krna parta ha, Lakin hume yeah samjhne ki zarurat ha kab adjust kiya jye aur kab wahan se aage nikalna chahiye. 

Agar hum logon ko apne app ko istemal krne dain ge e.g physically, emotionally, financially, spiritually or mentally, tu wo asa krna hamesha jari (Continue) rakhe ge.

Faisla kare k app ko kab koodna (Jump) karna ha. 
Iss se phele k app ki kuwat (Strength) katham ho jye, kood (jump) parin...

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »