Our Feeds

Tuesday 21 February 2017

Anonymous

Khajoor aur Kadu


Hazrat Mohammad (S.A.W) khane me khajoor aur sabziyon (Vegetables) main kadu (Pumpkin) ko behad pasand farmaya karte the. Hazrat Ayesha (R.A) se rawayat ha k Hazrat Mohammad (S.A.W) Kaddu (Pumpkin) k mosam main Kaddu ko khana  behad pasand farmate the. Yeah sabzi khushki (Dryness) ko door  karne wali ha.

4th Century k Tibai mahireen (Health Experts) jin me Boo Ali Seena, Moosa Bin Khalid aur Hussain Bin Ishaq ka naam sab se uper aata ha aur mahereen (Experts) ne kadu ki faidon k bare main kaha ha " Hum heran hain k iss k itne zayada faide hain". Kadu ka salan bohat si bemariyon main quwat bakash sabit howa ha.

Mosam Garma (Summer Season) main aksar bachon ki ankhen dukhne k par aa jati hain. Bukhar char jata ha, Chirchirahat si peda ho jati ha aur ase halat se bachne k liye kadu ka chilka hasil kar k bachon k talu par rakhne bad main utha dain, chand din ye amal krne se bache garmi main har kisam k hangami aur wabai amraz se mehfooz rehte hain.

Kaddu ki dandi dantoon k neche rakh k chabain, agar us main mithas ho tu kaddu nihayat laziz (tasty) ho ga. phiki hone ki surat main kaddu mazedar aur agar karwi ho tu pait (Stomach) main hawa bhar jane ki halat main iss ka zabardast ilaj ha....

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »