Ek dafa ek badshah ek kashti par sawar tha aur usi kashti par ek ajmi larka (Black boy) bhi safar kar raha tha. Iss larke ne iss se phele kabhi darya ka safar nahi kiya tha. Jab kashti rawana howi tu larke ne rona dhona shuru kar diya aur darr k mare is ka jism kampana shuru ho geya. Badshah nazuk tabyet hote hain lehaza Badshah k liye iss larke ka rona badshah k safar ka maza kharab kar raha tha. Logon ne bohat koshish ki k kisi tarha ye larka rona band kar de. Lakin iss larke ne rona dhona band na kiya.
Ek dana shaks jo kashti main sawar tha us ne badshah se kaha k agar app hukam dain tu mere pass ek asa tarika ha k yeah larka rona dhona band kar de ga. Badshah ne kaha k agar asa koi tarika ha tu zaroor azmaya jye ta k iss larke ka rona katham ho. Iss dana shaks ne larke ko pakra aur darya main phenk diya. Jab use chand gote lage tu use pakar kar dobara kashti main bitha diya. Wo larka ab chup ho k ek kone (Corner) main nihayat aram k sath beth geya.
Badshah heran howa aur badshah ne iss dane shaks se kaha "Tu ne ye kya kiya aur iss me kon si danai pochida (hidden) thi...?" Dana Shaks ne jawab diya "Aram ki qadar issi ko ha jis ne koi takleef dakhi ho. Ye larka doobne ki takleef se na-wakif tha aur isse kashti ki qadr-o-kimat ka andaza na tha. Ajj kuch gote khane k bad use kashti ki qadr-o-kimat ka andaza ho geya ha.