Our Feeds

Tuesday 21 February 2017

Anonymous

Asa Anokha Kagaz Tayar Ho Geya Jis Par Darjano Bar Likha Ja Sakta Ha


Kagaz ek asi cheez ha jis ki zururat hume parti ha aur is k istemal main waqat k sath sath izafa aur kami aati rehti ha. Khastor (Especially) par bachon ko jab wo taleem hasil kar rehe hote hain. Humari zindagi main kapiyan (Copies), Kitaben (Books) aur dosri bohat si zururoton main kaghaz ka bohat istemal hota ha. Kaghaz Lakri (Wood) se banta ha aur jitna iss ka istemal ho ga jungle utne hi kate jain ge.

Ab Americans Engineers ne ek asa kaghaz ijed (Discover) kar liya ha jise 80 bar istemal kiya ja sakta ha. Iss kaghaz par likhne k liye Ultra Voilet roshni aur mitane k liye hararat istemal ki jati ha aur iss par bar bar likha ja sakta ha. Iss kaghaz main SOLID ESTATE PHOTO RIYOSEBEL COLOR SWITCHING SYSTEM istemal kiya geya ha jo dakhne aur choone par aam (Normal) kaghaz ki tarha dikhai deta ha. Use kisi bhi siyahi (INK) k begair bar bar saaf kar k likha ja sakta ha. Iss kaghaz ki ijad (Discover) se darakht katne k amal main bht kami wakiya ho gi aur aam kaghaz k recycle se adludagi (Pollution) main kami  ho gi.

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »