Ek dafa Hazrat Gunj Baksh k pass ek hindu pandit aaya jo k jadugar tha. Loog k saab loog dhoodh (Milk) iss pandit k pass le jaya karte the. Jo dhood nai le k jata tha tu us ki behnson ka dhoodh band ho jata tha. Ek dafa ek bibi dhood le kar ja rahi thi tu Hazat Gunj Baksh ne pocha k yeah dhoodh kahan le k ja rahi ho.
Bibi ne jawab diya k pandit k pass le ja rahi hu. tu App ne kaha k mujhe de do. Tu bibi ne jawab diya k app darwesh admi ho. Agar app ko dhoodh de du gi tu meri behnso ka dhoodh katham ho jye ga. Tu bibi ne kaha k ajj dhoodh mujhe de do, derwesh, fakeer admi hu, Allah tumhari madad kare ga. Tu us bibi ne reham kha kar dhoodh app ko de diya. App ne dhoodh liya aur darya-e-ravi (River Ravi) main baha diya. Bibi ne dakha tu apna sir petne lag gai k ye kya kar diya.
Jis par Hazrat ne farmaya k Allah reham farmaye ga. Wo jab ghar wapis gai tu iss ki behnso ka dhoodh phele se teen gunna ho geya. Bibi ne sab ko bata diya aur sab dhoodh le k Hazrat k pass ponchne lage. Wo darya main dal dete aur dhoodh zayada hona shuru ho jata. Iss wakiye se pandit ko bohat gussa aaya k meri sari ki sari kamai band ho gai ha. Wo gusse main Hazrat k pass aaya aur bola k apni koi takat dikaho. Jis par app ne jawab diya k main tu darwesh admi hu, mere pass koi takat nahi ha.
Hazrat ka jawab sun kar pandit khene laga k phir tum meri takat dakho. Phir us ne mukthlif (different) kartab dikhaye aur akhir main hawa main urne (Fly) laga. Jab pandit hawa main urne laga tu Hazrat ne farmaya k ab tayar ho jyo. Hazrat ne apna juta (shoe) iss k peeche hawa main penchka (Throw) aur pandit ko jutiyan parne lagi. Wo Jutiyan khata howa bure hal main neeche aa gira aur bad main kalma parh liya aur Allah se sache dil se toba kar di.