Hazrat Mohammad (S.A.W) se takreban 1000 saal phele Yemen ka badshah Tabeeh Hameri tha. Ek dafa wo apni saltanat (Kingdom) k dore ko nikla, Uss k sath hazaron Ulma aur Hukma Tha. Sapah main 1 lakh 32 hazar sawar foji (on ride), 1 lakh 13 hazar pedal foji. Iss ki shahi shaan-o-shokat dakh k loog nazara krne k liye charon taraf khare ho jate. Ye Badshah jab safar karta howa Makkah poncha tu use wahan dakhne koi b nahi aaya.
Badshah heran howa aur apne wazir-e-azam se isss ki wajhe pochi tu iss ne bataya k isss shehar (City) main ek ghar ha jise Bait-Allah khete hain. Iss ki aur iss k khadimon (Servants) ko jo k yahan k bashinde (Inhabitants) hain, tamam loog be-had tanzeem (Reverence) karte hain aur jitne app k pass loog hain isss se kai zayada loog door se aur nazdeek se iss ki ziyarat ko aate hain aur yahan k bashindon (inhabitants) ki khidmat kar k chale jate hain. Tu phir app ka kafila inn k khayal main kyo aye.
Ye Sun kar badshah ko gussa aa geya aur kasam kha k bola k main iss ghr ko gira du ga aur yahan k bashindon (Inhabitants) main katal-o-garat karwao ga. Ye khena tha k Badshah k naak, moo aur kaan se khoon behna shuru ho geya. Asa bad-bu-dar mada behna shuru ho geya k iss k pass bethne ki bhi himat na rahi. Sham k waqat badshah k ulma aur hukma main se ek tashreef laye aur nabaz pakar k farmaya. Marz asmani ha aur ilaj zameen ka ho raha ha. Aeee Badshah agar app ne ki buri niyat ki ha tu us se foran toba kar lain.
Badshah ne dil-hi-dil main bait-Allah shareef k irade se toba kar li. Toba karte hi badshah ka marz theek ho geya. Iss ne Bait-Allah-Shareef par reshmi gulaf charhaya aur har bashinde ko 7 coins aur kapre diye.