Our Feeds

Tuesday, 21 February 2017

Anonymous

Bache aur Pese


Pakistan jese kai mumalik (Countries) main abadi (Population) main azafe se kafi pershan hain aur kisi b tarha iss main kami nahi laa pa rehe lakin kuch mulk ase b hain jin k liye POPULATION main azafa karna ek masla banna howa ha aur unhe LABOR k liye dosre mumalik (Countries) ki taraf dakhna parta ha.

HUNGRY b inhi mulkon (Countries) main se ek hi ha. Hungry ne apne citizens ko bache peda krne k badle inamat dene ka elan kar rakha ha. Hungry ki hukumat (Government) ne CSOK k naam se ek scheme shuru kar rakhi ha jis k tehat teen bache pesa krne aur palne wale maa baap ko 1 Crore fornents (Approx 36 lacs Pakistani) de rahi ha. Government ab  tak approx 34 hazar parents ko 81 Arab de chuki ha.

DW ki report k mutabik Hungry ko Labour ki shadeed kami ka samna ha aur wahan majood karobari edare (Business Departments) ko kafi mushkilat ka samna ha. Isss ki ek wajhe ye b ha k mulk main parhe likhe no-jawan berune mulk (International Countries) main ja kar nokariyan hasil krne ka rojhan bohat zayada ha aur Prime Minister Victor k 2010 main power main wapis aane k bad iss rujhan main mazeed tezi dakhne me aayi ha. Iss masle se nijad panne k liye hukumat ne yeah scheme mutarif karwa rakhi ha

Subscribe to this Blog via Email :
Previous
Next Post »